aaj phir hai hamein khushi ai dost aai chhabbis january ai dost yani tarikh wo ki jab bhaarat pa gaya apni gum-shuda daulat hum zamane mein baryab hue apne maqsad mein kaamyab hue aakhir hum ne badal lin taqdiren tod kar bandagi ki zanjiren apni koshish se bahra-mand hue sari duniya mein sar-buland hue khush hue shad kahe jaane lage hum bhi aazad kahe jaane lage mulk mein aaya daur-e-jamhuri ho gai dur sari majburi jo na kar pae aaj karne lage hum hi mil-jul ke raj karne lage kahun kya apne rahbaron ki baat din ko din samjhe wo na raat ko raat jo bhi kar sakte the wo kar ke rahe kyon muqaddar na phir sanwar ke rahe hum ko aazadi aaj hai hasil ab hai hum sab pe farz ai 'adil' us ki azmat sada rahe malhuz har tarah hum rakhen ise mahfuz is pe koi bhi aanch aane na pae jaan jae magar ye jaane na pae