abhi kuchh aur sansen rah gai hain abhi kuchh aur risalon tak mujhe ginna hai un ko abhi kuchh qarz hai mujh par sabhi ka abhi kuchh aur khushiyan bantni hain abhi kuchh qahqahon ko naghmagi khairaat karni hai guhar karna hai lafzon ko zamin-e-harf-o-mani se abhi kuchh khar chunne hain khayalon ko dhanak banna hai shayad nae khwabon ko surat bakhshni hai abhi zarron ko wusat bakhshni hai hare mausam se khushbu kasb karni hai lahu dena hai sare zard patton aur phulon ko hawaon ko subuk-gami sikhani hai andheron ko sitaron ko abhi mashal dikhani hai abhi baadal ko barish dan deni hai chamakte chand ko viran mathe par sajaana hai kahin mehndi ka buta aur kahin par nim ugana hai mere allah samajh mein aa gaya mere abhi kuchh aur din jina hai mujh ko abhi duniya ko hai meri zarurat