the mohalle mein hi bas do chaar dost anginat hain ab samundar par dost facebook ki hain karam-farmaiyan sari duniya mein hain waqif-kar dost in mein kuchh nadar kuchh khush-haal hain kuchh hain duniya-dar kuchh din-dar dost sahab-e-kirdar hain in mein kai hain magar wo bhi jo hain fan-kar dost facebook se hi mujhe hasil hue jab hue jitne hue darkar dost dost kuchh milte hain mujh ko mahw-e-khwab beshtar lekin hain shab-bedar dost haal-e-dil likhte hain mere page par aur samajhte hain mujhe gham-khwar dost shairi se hai shaghaf to raat-din dad mangen bhej kar ashaar dost bahs chhid jae siyasat par agar be-tuki karte hain phir takrar dost ho agar koi wiladat ya wafat facebook se bhejte hain tar dost karna hai like mujhe har post ko chuk ho jae to hain khunkhar dost facebook ko kholiye jis waqt bhi gher lete hain gul-o-gulzar dost facebook hi aaj-kal chaupal hai chauk par milte kahan hain chaar dost