abhi kuchh aur Thahar

mujhe ye sham bhi tujh si hasin lagti hai
guzarti sham ke sandal se aasman pe dekh

palat ke jaane se pahle sunahre suraj ne
ghane darakht pe matha tika diya apna

mere bhi kandhe pe tu sar tika ke baith zara
kuchh aur der mere pas aa ke baith zara

kuchh aur der ki sargoshiyon ki aawazen
dhadakte dil ki sada mein samae jati hain

mere labon pe darakhshan hai tere nam ki lau
tere labon se larazti sada dhalakti hai

samaaton mein tere lafz ghul rahe hain thahar
sukut-e-zist ke sab dagh dhul rahe hain thahar

zara thahar teri aankhon mein saf likkha hai
nashat-e-wasl pe bhaari hai dard rukhsat ka

ghurub-e-sham ka manzar hai aur teri aankhen
zara khumar mein bahki hain kuchh thakan se chur

teri nazar hai ki goya nigah-e-saqi hai
abhi na ja mujhe madhosh hona baqi hai

zara si der mein ye sham laut jaegi
tujhe bhi ghar ki pareshaniyan bula lengi

mujhe bhi shahr ki galiyon ki khak chhanni hai
par is se pahle zara der ruk tujhe chhu lun

main apni nazron se hathon ka kaam lun ruk ja
main tere aks ko aankhon mein tham lun ruk ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close