be-nam nazMein

akhbar ke bikhre hue pannon mein
ya shayad

whatsapp ke kisi group mein kahin
us ne padhi thin

kuchh dard mein dubi gham-e-hijran se moattar
manus se alfaz mein pahchani si satren

be-nam si nazmen
jin mein kahin shair ka koi nam nahin tha

mumkin hai ki in nazmon se
kuchh uns shanasai ya shayad koi rishta

use mahsus hua ho
shayad use yaad aaya ho ek rabt purana

un bikhri hui nazmon sa
mumkin hai ki

wo rabt bhi us ke liye be-nam raha ho
jo bhi ho

magar us ne wo nazmen mujhe bhejin
alfaz kifayat se baratte hue puchha

lahja to tumhaara hai ye tum ne hi likhi hain
main der se bas soch raha hun use puchhun

waqif ho mere gham se meri aahon se ab bhi
ehsas abhi tak hai mere dard ka tum ko

alfaz baratne ka saliqa nahin bhuli
taza hai abhi zehn mein nazmon ka bhi lahja

tum itna samajhti ho mujhe phir ye batao
hum pas rahe itne to ab fasla kyon hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close