abhi thahro abhi kuchh kaam baqi hain zara ye kaam nimta len to chalte hain abhi to na-mukammal nazm ka ek aakhiri misra kitab-e-hijr mein tahrir karna hai khas-o-khashak-e-gham aslaf mein taqsim ho jaen to sar se bojh utre qarz ka jama pahan kar ek nae raste pe jaana kab munasib hai abhi thahro abhi hum ko jazire mein hawa ke sabz jhonkon se shajar ki baat karna hai saweron ki imamat karne wali zau nigahon mein pirone tak thahar jao andheron mein kisi lau ke bina lamba safar aaghaz karna kab munasib hai abhi thahro hujum-e-dil-baran aadab-e-girya se nahin waqif dar-o-diwar-e-hasrat mein zara si bhid lag jae to chalte hain khabar bhejo ki yun chup-chap mayyat ki tarah ghar se nikalna kab munasib hai zara thahro abhi kuchh kaam baqi hain zara ye kaam nimta len to chalte hain