jab tamannaen muskuraati hain phul banti hain aur mahakti hain koi chupke se mere sine mein subh ka nur ghol jata hai khidkiyan dil ki khol jata hai saf-shaffaf se darichon mein raqs karta hai mahtab koi dil ki gahraiyon mein girte hi dub jata hai aaftab koi chand aata hai chandni le kar jhuk ke tare salam karte hain dil ke zakhmon ka chand tare bhi kis qadar ehtiram karte hain konplen pyar aur mohabbat ki pattiyan ban ke sarsaraati hain mishalen shahrah-e-hasti par gham ke hathon mein jagmagati hain mishalen pyar aur mohabbat ki jagmagati hain jhilmilati hain khwab banta hai ek haqiqat jab dil mein ummiden muskuraati hain koi chupke se mere sine mein subh ka nur ghol jata hai khidkiyan dil ki khol jata hai