abhi to main jawan hun jawan ho to zindagi ki nabz gudguda to do jawan ho to waqt ki siyahiyan mita to do ye aag lag rahi hai kyun use zara bujha to do abhi to main jawan hun jawan ho to aandhiyon se dar rahe ho kis liye jawan ho to be-kasi se mar rahe ho kis liye urus-e-nau ki tarah tum sanwar rahe ho kis liye abhi to main jawan hun jawan ho to shisha-o-sharab zindagi nahin jawan ho to zindagi mein sirf ek hansi nahin falak pe badliyan bhi hain falak pe chandni nahin abhi to main jawan hun jawan ho to ho gae ho zindagi pe bar kyun jawan ho to dar hi se palat gai bahaar kyun dimagh hasraton ka hai bana hua mazar kyun abhi to main jawan hun jawan ho to zindagi se kaam le ke badh chalo jawan ho to hurriyat ka nam le ke badh chalo dayar-e-inqalab ka payam le ke badh chalo