khayalat mein sakht hai intishaar takhayyul pareshan qalam be-qarar jahan khun-aluda-o-khun-rang hai watan par pada saya-e-rang hai gul-o-lala hain mustaid be-takan rafiqon ne rakkhi hatheli pe jaan har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan khulus aaj pamal hai aur tabah usul aaj daryuza-khwah-e-panah giraftar-e-azar duniya hai aaj mohabbat parishan-o-ruswa hai aaj usul-e-mohabbat ke hum tarjuman khulus-o-mohabbat ke hum pasban diwanon ko mutlaq nahin hai qarar sadaqat se betab dil paedar har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan watan hai ye nanak ka farman-pazir tha gautam isi karwan ka amir mohabbat ne rutba diya hai buland mohabbat ne sab ko kiya arjumand hai ghairat ka tufan chhaya hua hai bachchon mein bhi josh aaya hua irade hain sab ke bahut ustuwar ghayur aur bedar hain jaan-nisar har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan na di dushmanon ko kabhi is ne rah himala hai rifat se aalam-panah himala ki dilchasp hai dastan ye azmat nishan sab ka hai pasban zamane pe ye baat hai aashkar ama us ki hai dukhtar-e-nam-dar himala ki azmat ki hum ko qasam himala ki rifat ki hum ko qasam hifazat himala ki ab farz hai himala ka hum par bada qarz hai ye kahte hain sab mil ke khurd-o-kalan ki ghairat ka is waqt hai imtihan hua ru-e-shankar hai ghusse se lal dikhaega ab raqs tandau jalal irade hain sab ke bahut ustuwar ghayur aur bedar sab jaan-nisar har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan muhafiz hain hum amn ke la-kalam zamane ko dete hain budh ka payam saba apne gulshan se jati hai jab mitati hai duniya ke ranj-o-tab rasili hai subh aur rasili hai sham nihan in mein hai zindagi ka payam riwayat ka mahfuz kar ke waqar hamein lutna hai khushi ki bahaar zara dekhiyega rafiqon ki aan hai rakkhi jinhon ne hatheli pe jaan har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan hai izzat ka jurat ka ab imtihan kahin jhuk na jae watan ka nishan farebon se koi panapta nahin kabhi jhut ka mewa pakta nahin sadaqat ka hai bol-baala sada nahin kaam aate darogh iftira faza hai chaman ki hamein sazgar hai pabanda-tar is zamin ki bahaar har ek lab pe hai bas yahin ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan haya aur murawwat hai jo pur rahen hui hain wo aankhen bahut khashmagin badhe hain watan ki taraf bad-qimash kaleja zamin ka hua pash pash pahadon pe hai barf ghusse se lal fazaen huin garm aatish misal hain jehlam mein aane ko tughyaniyan har ek mauj par hai ghazab ka saman mohabbat ki duniya ko dil mein liye bahaar-e-jawani se paiman kiye watan ki hifazat ko tayyar hain mohabbat ke baada se sarshaar hain hifazat hai farz apne arman ki hamein aaj parwa nahin jaan ki har ek lab pe hai bas yahi ek sukhan hasin aur dilkash hai arz-e-watan 2 aao badho maidan mein sheron dushman par yalghaar karen qabr bane maidan mein us ki aisa us par war karen zang na lagne pae apne bhaarat ki aazadi ko aao zer-e-dam karen sayyaadon ki sayyaadi ko lauh-e-dil par naqsh karo har haal mein zinda rahna hai mulk ki khidmat ke raste mein jo dukh aae sahna hai ye sailab-e-surkh nahin hai zulm-o-sitam ki aandhi hai is sailab ko rokenge hum himmat hum ne bandhi hai sheron ki aulad ho tum in wiron ki santan ho tum mard-e-mujahid mard-e-jari ho yodhdha ho balwan ho tum sanchi madura amaritsar ajmer ki azmat tum se hai subh-e-banaras sham-e-awadh ki asl-o-haqiqat tum se hai taj ajanta aur elora ke wahid fankar ho tum khush-sirat khush-suraat khush-murat khush-kirdar ho tum bhilai chitranjan tum se bhakad anangal tum se hai damodar ki shan hai tum se azmat-e-chanbal tum se hai tum ne basae shahr nirale jangal tum se mangal hain tum ne nikali nahren itni sahra tum se jal-thal hain tum ne itni himmat se dariyaon ke rukh mod diye tum ne khodin surangen itni dur ke rishte jod diye tum kashmir ki arz-e-hasin ke nazzaron mein palte ho kohsaron ko phandte ho tum dariyaon pe chalte ho tum mysore mein wirinda-ban ke bagh sajaane wale ho uti shimla darjiling se shahr basane wale ho tatya-tope laxmi-bai tipu ki aulad ho tum jang ke fan mein qabil ho tum mahir ho ustad ho tum hindu muslim sikh isai jaini bodh aur parsi dahqan tajir aur mulazim sadhu-sant aur siyasi le ke watan ka jhanda aao dushman par yalghaar karen qabr bane ran-bhum mein us ki aisa us par war karen