saf-e-matam bichhi hai sukhan ka aakhiri dar band hone ki khabar ne khidkiyon ke par baithe ghamgusaron ko ye kaisi chup laga di hai ye kis ki na-gahani maut par sargoshiyon ki aag raushan hai kisi ke kunj-e-lab se koi tara mere dil par aan padta hai bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai abhi us ki zarurat thi main is duniya ke ek goshe mein baitha sochta hun aaj is viran mandli mein main kis ko pursa dene ke liye aaya hun mujh ko taziyat to khud se karna thi abhi is ghar se ek mayyat sidhaari hai dam-e-rukhsat kisi ne nikhat-e-zulf-e-pareshan ka nahin pucha kisi ne dukh ke andar raushni ki chhab nahin dekhi makan se phutne wali rawish par ek bachcha ro raha hai aaj us ke aansuon ko kaun ponchhega ki us ke sath jo shatranj ki bazi lagata tha wo ab zer-e-zamin ek chadar-e-sada ki khushbu hai yahan subhen bhi aaengi yahan shamen bhi utrengi magar ek hichkiyan leta hua bachcha charagh-e-arzu ban kar sar-e-taq-e-lahad gungi zamin ki lab-kushai tak pukare ga bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai
This is a great shatranj shayari in urdu. True lovers of ghamgeen shayari urdu will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sad mayyat shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!