suno kasrat-e-khak mein basne walo suno tausan-e-barq-raftar par kathiyan kasne walo ye phir kaun se marke ka irada tumhaari nason mein ye kis khwab-e-fateh ka phir bab-e-wahshat khula hai fasilon pe ek parcham-e-khun-chakan gad dene ki niyyat kai lakh maftuh jismon ko phir haalat-e-sina-kubi mein rote hue dekhne ki tamanna ye kis aab-e-diwangi se badan ka subu bhar rahe ho suno tum badi bad-numa raat ki dhund mein faisla kar rahe ho udhar sainkadon kos par ek pahadi hai jis par koi shai nahin hai wahan har taraf se tumhein aag ke ghol ghere mein lene ki khatir khade hain abhi waqt hai lut jao suno ujlat-e-fikr mein koi bhi kaam anjam pata nahin phir kisi saat-e-shab-girafta mein koi sitara bulata nahin