waqt ki aastinon mein palte hue qahqahe jhad do apne lab gad do aainon mein bikharti hui apni be-chehragi ke tahalte hue sae par muskurahat ujalo nai subh tamir karne ka chaara karo istikhara karo sari afsurdagi aur sarasimgi sansanate hue apni qamat se ghat kar kai munhadim daeron mein badal jaegi ye jo haalat ki dasht-ankhon se hum par lapakti hui lu hai kat jaegi pyas chhat jaegi be-aman mausamon ke badan par chahakte hue silsile karb-alud lahje bhi khul jaenge hausle gaenge waqt ke zard mathe pe bal aaega na-umidi ka har ek imkan jal jaega raushni ka shajar apni shakhon ko phailaega aasman apne daman se pinhan guhar sab pe barsaega zist ko nuri khushbu se mahkaega muskurahat ujalo nai subh tamir karne ka chaara karo ashk tara karo