mujh se roz yahi kahta hai pakki sadak par wo kala sa dagh jo kuchh din pahle surkh lahu ka tha ek chhinta chikna gila chamkila chamkila mitti us pe giri aur maili si ek pidhi us par se utri aur phir sinduri sa ek khaka ubhra jo ab pakki sadak par kala sa dhabba hai pisi hui bajri mein jazb aur jamid an-mit mujh se roz yahi kahta hai pakki sadak par masla hua wo dagh lahu ka main ne to pahli bar us din apni rang-birangi qashon wali gend ke pichhe yun hi zara ek jast-bhari thi abhi to mera roghan bhi kachchha tha kis ne undel diya yun mujh ko is mitti par un un main nahin mitta main to hun ab bhi hun main ye sun kar dar jata hun kali bajri ke roghan mein jine wale is masum lahu ki kaun sunega mamta bik bhi chuki hai chand takon mein qanun aankhen miche hue hai qatil pahiye be-pahra hain