zahe-qismat hilal-e-eid ki surat nazar aai jo the ramzan ke bimar un sab ne shifa pai pahadon se wo utre qafile roza-guzarun ke gaya garmi ka 'mausam aur aae din bahaaron ke utha hotel ka 'parda samne parda-nashin aae jo chhup kar kar rahe the ehtiram-e-hukm-e-din aae hui angur ki beti se masti-khan ki shadi khule dar mai-kadon ke aur mili rindon ko aazadi nawed-e-kaamrani la rahe hain race ke ghode masarrat ke tarane ga rahe hain race ke ghode mubarak ho ki phir se ho gaya dance aur dinner chaalu khalas ahl-e-nazar honge hua dard-e-jigar chaalu namaz-e-eid padhne ke liye sarkar aae hain aur un ke sath sare talib-e-didar aae hain yahi din ahl-e-dil ke waste ummid ka din hai tumhaari did ka din hai hamari eid ka din hai