1 ek thi chidiya ek tha kawwa ek thi maina ek tha tota ek thi billi ek tha kutta ek thi murghi ek tha bakra chidiya kawwa maina tota billi kutta murghi bakra ye sab sath raha karte the dukh-sukh sath saha karte the 2 achchhi chidiya bholi bholi ek din in sab se boli aao chal kar kaam karen kuchh kaam karen kuchh nam karen kuchh khali rah kar waqt na khoen khet mein chal kar gehun boen jab ye sab gehun pak jaen tab hum sab mil jal kar khaen 3 chidiya ki jab baat suni ye kawwa bola main nahin bota maina boli main nahin boti tota bola main nahin bota billi boli main nahin boti kutta bola main nahin bota murghi boli main nahin boti bakra bola main nahin bota sab ne kaha jab hum nahin bote chidiya ne wo aap hi boya 4 thode dinon mein waqt wo aaya khet ye gehun ka phal laya chidiya boli chal kar katen gehun se ghar apna paten un sab ne jab kaam suna ye kawwa bola mujh se na hoga maina boli main na karungi tota bola mujh se na hoga billi boli main na karungi kutta bola mujh se na hoga murghi boli main na karungi bakra bola mujh se na hoga jab na kisi ne kaam kiya ye chidiya ne khet aap hi kata 5 gehun ghar mein kat ke dale phir sab se yun boli chidiya aao ye hum chakki mein pisen pis kar ye ho jaenge aata chakki aur aate ki sun kar un mein se har ek ghabraya sab se pahle kawwa bola aata ye mujh se na pisega maina boli tota bola aata ye mujh se na pisega maina boli tota bola aata ye hum se na pisega billi boli kutta bola aata ye hum se na pisega murghi boli bakra bola aata ye hum se na pisega jab na kisi ne pisa aata chidiya ne wo aap hi pisa 6 sare gehun pis chuki wo phir un se yun boli chidiya aao pakaen mil kar roti kaam ye ho jae to hai achchha baat ye sun kar kawwa bola mujh se nahin pak sakti ye roti maina boli tota bola hum se nahin pak sakti ye roti billi boli kutta bola hum se nahin pak sakti ye roti murghi boli bakra bola hum se nahin pak sakti ye roti jab na kisi ne kaam kiya ye chidiya ne roti bhi paka li 7 roti jab chidiya ne paka li puchha kaun ye khaega roti kawwa bola main khaunga sab roti chat kar jaunga maina boli main khaungi tota bola main khaunga billi boli main khaungi kutta bola main khaunga murghi boli main khaungi bakra bola main khaunga sab ne kaha hum khaenge roti sari chat kar jaenge roti dil mein wo na zara sharmae jhat-pat roti khane aae 8 ab to un se chidiya boli roti ye tum ko na milegi kaam se tum sab ghabraate ho phir ye roti kyon khate ho phir ye roti kyon khate ho baat ye sun kar sab ghabrae sab sharmae sab pachhtae chidiya aur sab us ke bachche mil kar khana khane baithe sab ne mil kar khana khaya sab ne mil kar gana gaya kaam ka phal chidiya ne paya kaam ne in ka kaam banaya chand mein baithi tara rani ai lo bachcho khatm kahani