na ye fana hai na ye baqa hai miyan bud-o-adam ye kaisa tawil waqfa hai jo nawishta hamari qismat ka ban gaya hai kanar-e-dariya kabhi ye basti thi lekin ab nesti-o-hasti ke darmiyan ek maqam-e-barzakh hai aisa barzakh ki jis mein sadiyon se kakh-o-ku baam-o-dar musalsal shikastagi khastagi kharabi mein khira-sar hain hudud-e-hasti se hum nikal kar khandar bane the magar khandar ban ke mit bhi jate ki ye gham-e-zindagi ke rasiya hamari hasti ko apni yaadon se mahw kar dete bhul jate na ye ki hum ko tamasha-gah-e-jahan banate hamare ibrat-kadon ko mahfuz kar ke rakhte na ye ki aabaadiyon ki khatir hamari barbaadiyon ko tarikhi yaadgaren banae rakhte wo yaadgaren jahan pe ye log zindagi ke ijara-dar aa saken to aaen dinon ko rahon ki khak udain wo bargahen jo arsh-paya thin adab-o-adab-e-khusrawi mein wahan ye daraaz khisakte jaen jahan bhi ji chahe apna nam aur sher likkhen machaen ghaugha raqiq be-mani git gaen magar na auqat-e-panj-gana mein ek bhi waqt suni masjid mein jhank paen kisi ki turbat pe fatiha ke liye na ye apne hath uthaen dinon ko yunhi fasurda rahon ki khak udain diye jale par gharon ko jaen hamari viraniyon ko viran-tar bana kar chale hi jaen yahan pe chha jae andhi andhiyariyon ka phir wo sukut-e-jamid ki yaum-o-sipar hi jis ke ham-raaz-o-ham-nafas hain na din ki wahshat mein kuchh kami thi ki shab ki dahshat mein kuchh kasar ho hamare din-raat ek se hain hamare din-raat usi wajud-o-adam ke ek waqfa-e-musalsal mein hasti-o-nisti ke barzakh mein pa-ba-gul hain hamare din-raat isi dara-e-zaman waqfe se muttasil hain magar hamein kab milegi is dam se rihai hamein milega adam ki madum-o-be-nishan god ka sukun-e-abad khudaya hamein azal aur abad ke chakkar se kab ata hogi rustagari khuda-e-qayyum-o-hayye-o-qaem janab bari