actress ka contract

mera wajud zindagi ka bhed hai dekh
ye ek hont ke shoale pe barg-e-gul se kharash

ye ek jism ke kundan mein gudgudi se gudaz
ye ek ruh bhinche bazuon mein khelti lahr!

zara qarib to aa dekh tere samne hain
ye surkh ras bhare lab jin ki ek jhalak ke liye

kabhi qabilon ke dil joshanon mein dhadke the
jo tu kahe to yahi hont surkh ras bhare hont

tere lahu mein shagufe khila bhi sakte hain!
qarib aa ye badan meri zindagi ka tilism

teri nigah ki chingariyon ka pyasa hai
jo tu kahe to yahi narm lahariya aanchal

yahi naqab meri chutkiyon mein atki hui
yahi rida meri angdaiyon se maski hui

ye aabshaar dhalanon se gir bhi sakti hai
bas ek shart ye gauhar sutur-e-dastawez

zara koi ye wasiqa raqam kare to sahi
ikaiyon ke udhar jitne daere honge!

idhar bhi utne hi aks un barahna shoalon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close