daur-e-hazir ke tum ek sharminda insan ho main jo chikha to meri ana tut kar jangalon ki tapish ban gai dastan ki khalish ban gai qahqahe be-sada qahqahe makdiyon ki faza mein udate rahe tez mazbut qaumon ke naraaz qisse sunate rahe main pareshan nindon ke baadal hata kar bujhi raat ke sada parde utha kar jo kheme se nikla to aawaz aai abhi tum ne duniya bhi dekhi nahin hai