thartharaati rahi charagh ki lau ashk palkon pe kanp kanp gae koi aansu na ban saka tara shab ke sae nazar ko dhanp gae kat gaya waqt muskurahat mein qahqahe ruh ko pasand na the wo bhi aanhken chura gae aakhir dil ke darwaze jin pe band na the saunp jata hai mujh ko tanhai jis pe dil e'tibar karta hai banti jati hun nakhl-e-sahrai tu ne chaha to main ne man liya ghar ko bazar kar diya main ne bech kar apni ek ek umang tujh ko zardar kar diya main ne apni be-chaargi pe ro ro kar dil tujhe yaad karta rahta hai qahqahon ke siyah ujale mein jism fariyaad karta rahta hai