wo ek laDki

jo diler thi kabhi
jab paida hui thi

to ro ro kar pair patak kar
apne asitiw ko darshane ki koshish karne lagi par

nazar padte hi apni man par
man ki bechaargi ne use sahamna sikhaya

apni ahmiyat dikhane ki
jurat hui tumhein kaise

zamane ki nazron mein ye nazar aaya
aur bas

tabhi se payyan payyan chalne se
school se collage tak

collage se mandap tak
bas sahmi hui hai

kabhi jo diler hone ki koshish karti hai
be-sharm kahlai jati hai

logon ko chaalak na nazar aae is liye
jhat phir saham jati hai

mano sahamna to us ki niyyat hai
us ladki se mera ek ajib sa rishta hai

us mein mujhe apna bachpan dikhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close