adab ke nam pe tahzib ke luteron ne jo kar-ha-e-numayan kiye kahun kaise kisi ne sher mein phabti kasi ba-in maqsad kaha gaya kabhi uryan-nigar ko fankar jadidiyat ke taqaze nibha diye lekin qaba-e-sharm-o-haya tar-tar kar dali mizah kah ke phalangi gain hudud-e-adab ghulu ke nam pe kuchh log be-hijab hue kisi ne jins pe bebak sher likh dale kisi ne wasl ke lamhat be-naqab kiye ghazal ki aad mein kuchh ne nikala dil ka ghubar to koi parda-e-nasri mein chhup ke khul khela sitam to ye hai ki iffat ka nam le kar hi udai jati rahin dhajjiyan sharafat ki mazid ye ki ye qazzaq-e-shahr-e-ilm-o-adab samajh rahe hain ki un ko adab mein nam mila