hai dakhil fitrat-e-munim mein nadaron ko tadpana sar-e-pa-e-hiqarat se har ek bekas ko thukrana hai fitrat dushmanan-e-din-o-iman-o-haqiqat ki watan se kar ke ghaddari mulukiyyat se mil jaana dilon mein tukhm-rezi ho chuki hai jab kudurat ki bhala dushwar kya hai aise nakhl-e-tar ka badh jaana bina-e-hurriyat ki ustuwari ki thi jab hum ne sar-e-'das'-o-bhagat-singh de diye the qabl nazrana koi kah de hukumat se na uljhe naujawanon se inhen sikhla diya hai zulm ne zalim se takrana yaqinan inqalab-e-hind hoga ai 'sukhan' hoga hamein zeba hai apne ghar mein jhanda surkh lahrana