wo jagmagata hua shahr meri aankhon mein tamam raat larazta hai aansuon ki tarah kabhi sisakta hai tute hue manaron mein kabhi tapakta hai aawaza-e-bahaar ki surat hisab qatra-e-ashk aaina sutunon ka mere bujhe hue chehre ke samne aa kar pukarta hai chale aao jaan ahd guzishta wo saeban bahut intizar karta hai ujad gai hai takallum ki bastiyan lekin nishaniyan kai baqi hain bujhti hui be-zaban fazaon mein huruf o saut o sada ke ghubar ki surat kushada aanganon ka surmai andhera larazta hai kuchh parindon ki aalam panah aankhon mein wo jagmagata hua shahr ek qila-e-ashuftagan bhi hai jis se har ek khwab adam sar patakta rahta hai