nahin main kisi yunani almiye ka markazi kirdar nahin na hi main is liye bana tha main to ek khamosh tamashai hun hazaron sal pattharon mein jakde kisi markazi kirdar ki aankhen jab shahin se nochwai jati hain aur jab wo dard se karah kar kahta hai main tamam pyar karne walon ke liye ek karbnak manzar hun ya salha-sal samundaron mein bhatakne wale sayyahon se khuda jab un ke ghar aane ka din chhin leta hai ya jab koi sarkash markazi yunani kirdar apne aabai khuda se muskura kar kahta hai takhliq ke baad mujh par tumhaara koi haq nahin raha to main apne baghal wale masum tamashai se machis mang kar apna cigarette sulga leta hun khuda ya ye log kitne bewaquf hain mujhe zindagi ka koi tajraba nahin shayad apni ghaltiyon ko hans kar bhulne ke fuqdan ko tajraba kahte hain ya phir shayad isi ikhtilaj-e-kam-tari ko zehn ke frame mein band rakhne ko shayad mujhe malum nahin ye sadi dard-e-zachgi se karah rahi hai aur main tawarikh ke shatirana sehn mein baitha soch raha hun main nahin ye duniya zaif ho gai hai aur jald hi mar jaegi magar muarrikh mere bare mein kya likhenge