ye ghanimat hai ki wo khwab adhure hi rahe wo jo ek umr talak meri be-khwab nigahon ka udate the mazaq wo jinhen sada-dili samjhi junun ka tiryak jo kabhi baam pe chamke kabhi dar se jhanke kabhi rauzan kabhi chilman se numudar hue jo kabhi zulf ka jadu to kabhi shola-e-rukhsar hue jo kabhi chashm-e-fusun-kar hue khol kar band dariche chaman-arai ki aarzu bante gae jo gham-e-tanhai ki ye ghanimat hai ki wo khwab adhure hi rahe marg-e-tabir ka unwan na bane warna ye tohmat-e-ruswai kahan se aati mere fan mein ye masihai kahan se aati