ek the petu sahab jin ki chhe foot thi unchai baithe baithe pahlu badlen das roti kha jaen ek din petu sahab ko is ghar se dawat aai din chhupne se pahle petu us ghar par ja dhamke dastar-khwan laga to baithe kuchh tan ke kuchh jam ke pahle roti salan sare ghar-bhar ka kha dala phir ghar ki baqi chizon ka nikla khub diwala barah laddu bis imirti sola baalu-shahi chaudah kele darjan chiku halwa ek kadahi ghabra kar ghar ke malik ne naukar ko daudaya ek kilo bazar se halwa gajar ka mangwaya halwa kha kar bole petu de monchhon par taw yar zara andar se thoda sa namkin mangao thodi dal bachi thi pi li phir lota bhar pani ghar ki haalat jaan chuke the so uthne ki thani sahab-e-khana bole baitho baitho kuchh farmao ghar mein jute aur bache hain wo bhi khate jao