afkar pareshan

duniya-e-rang-o-bu se mohabbat nahin rahi
ab gul-rukhan-e-dahr ki chahat nahin rahi

ya-rab ye kis maqam par ab aa gaya hun main
bezar dil ko un se bhi ulfat nahin rahi

bimar-e-gham ki chaaragari ab na kijiye
is ko kisi ilaj ki hajat nahin rahi

aazurda mujh ko dekh ke kahte hain sab rafiq
kya ho gaya tumhein ki bashashat nahin rahi

jo kuchh kaha kisi ne wo chupke se sun liya
duniya se ab ulajhne ki himmat nahin rahi

dushwari-e-hayat se hai qafiya hi tang
aise mein sher kahne ki fursat nahin rahi

taqdir ne bhi apni nazar mujh se pher li
jab se tumhaari chashm-e-inayat nahin rahi

is aalam-e-wajud pe tanqid kya karun
ab mujh ko aib-jui ki aadat nahin rahi

jalwa har ek shai mein hai parwardigar ka
dil ko kisi bhi chiz se nafrat nahin rahi

teri tajalliyon se hua dil bhi jam-e-jam
is aaine pe gard-e-kudurat nahin rahi

ya dur bhagta tha main apnon ke nam se
ya dushmanon se bhi mujhe wahshat nahin rahi

zar hai kasauti azmat-e-insan ki aaj-kal
ilm-o-hunar ki ab koi waqat nahin rahi

tahzib-e-nau ne dekhiye kya gul khilae hain
mafqud hai khulus murawwat nahin rahi

go auraton mein jazba-e-isar khatm hai
mardon mein bhi hamiyyat-o-ghairat nahin rahi

bazar garm rahta hai makr-o-fareb ka
sidq-o-safa ki ab koi qimat nahin rahi

hai aadmi ki zat se larzan khud aadmi
ahl-e-jahan ke dil mein ukhuwwat nahin rahi

lahore kya chhuta ki zamana badal gaya
arbab-e-zauq-o-shauq ki sohbat nahin rahi

kya baat hai ki ab tere sheron mein ai 'bahaar'
wo soz wo tadap wo hararat nahin rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close