hubb-e-watan

jo sahib-e-fan mulk ko karta nahin bedar
madquq hai fan us ka wo fankar hai bekar

ai ahl-e-sukhan mulk ka bhi aap pe haq hai
mana ki dil-awez hain gesu-o-lab-e-yar

lena hai jo ab kaam shakar-rez qalam se
tausif-e-kham-e-abru-e-jaanan se hai dushwar

har samt se yalghaar-e-hawadis hai watan par
hum apni hi aghraaz mein lekin hain giraftar

ghairat ka taqaza hai ki sar un ke kuchal den
rakhte hain nazar mulk ki sarhad pe jo aghyar

is waqt bhi jo kaam na aaega watan ke
ghaddar hai mardud hai wo mard-e-siyahkar

dushman ke jo hathon mein watan bechna chahen
aise bhi hain maujud watan mein kai ghaddar

hum logon ko aapas mein ladate hain jo paiham
lazim hai ki hum log rahen un se khabar-dar

marte hain jo ab nam pe mazhab ke zaban ke
behtar hai ki wo mulk pe marne ko hon tayyar

ek wo hain jo karte hain mah-o-mehr ko taskhir
ek hum hain ki rahte hain faqat barsar-e-paikar

tamir ka ab in se nikalen koi pahlu
takhrib ke go hum ko nazar aate hain aasar

hum azmat-e-aslaf ko kyon bhul gae hain
hum mein na wo ghairat na hamiyyat na wo isar

maghrib ko bhi milta tha kabhi faiz yahan se
bhaarat tha zamane mein kabhi matla-e-anwar

aaegi bahaar apne khizan-dida watan mein
bigde hue haalat se ai dil na ho bezar

mauzu-e-sukhan hubb-e-watan hum ne banaya
kuchh gham nahin is jins ke kam hain jo kharidar

kirdar pe mauquf hai qaumon ki taraqqi
karta hai 'bahaar' aaj tumhein mahram-e-asrar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close