magar ye aarzu kab thi ki hum aflak ke farman ki suli pe ja latken to aakhir kis liye waqt-o-makan ki ghatiyan utren bana kar marqadon ko dar-e-adam ke aasman ki khak chhanin aur phir jiwan ke mausam ko asiri ka kafan odhen magar in sab sawalon ke jawabon se bahut pahle naya din surajon par baith kar khidki ke raste khwab-zaron mein utarta hai hum apne tooth-brush munh mein liye aur toliye ko hath mein thame phir ek jabr-e-musalsal ke liye tayyar hote hain ghadi ke saz par calendaron ke safhe kitne hain