main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun ki jis ke beton ne jo kaha us pe jaan de di main jaanta tha mere qabile ki khema-gahen jalai jaengi aur tamashai raqs-e-shoala-fishan par israr hi karenge main jaanta tha mera qabila burida aur be-rida saron ki gawahiyan le ke aaega phir bhi log inkar hi karenge so main kamin-gah-e-afiyat mein chala gaya tha so main aman-gah-e-maslahat mein chala gaya tha aur ab mujhe mere shahsawaron ka khun aawaz de raha hai to nazr-e-sar le ke aa gaya hun tabah hone ko ek ghar le ke aa gaya hun main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun!