aariz-e-gul pe larazti hui bekal shabnam muntazir hai ki chale baad-e-sahar koi jhonka koi suraj ki kiran pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune naghma-e-zahra-o-nahid ki jhankar sune barbat-e-salma ke taron ki sada-e-dilkash aabshaaron ki nida kharzaron ki sada phul ke dil ki jalan sozish-e-mahtab ka haal dubte taron ke khamosh nigahon ka payam nala-e-nim-shabi aah-e-dil-e-zar ka haal aalam-e-ishq-o-mohabbat ki hikayat sune pas aa jae to afsana-e-shab-rang sune aur dekhe kisi shair ke falak-bos mahal kis tarah chand-sitaron ko janam dete hain kis tarah aariz-e-gulgun ko rida-e-shabnam dhanp leti hai siyah-raat ke sannate mein