ab to shayad isi andaz se jina hoga us ke har zulm ko be-dad ko chup-chap sahen yun to kahne ko bahut kuchh hai magar aathon pahar ek yahi fikr hai kis tarah kahen kis se kahen dekhti aankhon se hum se to ye hoga na kabhi is bhari bazm mein hum surat-e-taswir rahen baat kahne ka jo anjam hua karta hai aashkara hai kisi se bhi to mastur nahin wo jo aaqaon ke dastur ko thukra ke badhen wadi-e-dar-o-rasan un se koi dur nahin hum bhi shayad usi manzil mein pahunch kar dam len dahr mein ghalba-e-zulmat hamein manzur nahin qaid kya shai hai salasil ki haqiqat kya hai jism paband sahi fikr to mahsur nahin dil mein jo baat khatakti ho agar dil mein rahe maslahat-keshi hai ye shewa-e-mansur nahin