afsar

zahmat-e-kaun-o-makan khinch raha hai koi
tirgi wusat-e-aflak se mit jaegi

ishq is tarah chhupae se bhala kya chhupta
mere ashkon mein koi dub ke aaj ubhra hai

main ne dekha hai kahin aaj haya ka paikar
kis ke eajaz-e-karam ki yahan sargoshi hai

koi diwana sar-e-rah sanbhal jaega
mit raha tha jo use us ki khabar hi kab thi

koi aa kar meri duniya ko badal jaega
kis se kah dun main in aankhon ki hasin baat ki ab

jawedan hone ko ye shoala-e-dil uthta hai
aaj to khuld-e-ali-gadh bhi hai badnam bahut

hir-o-ranjha ki hikayat ne lab khol diye
nam ab afsar-o-anjum ke liye jate hain

han magar kis se hui sohni mahiwal ki jit
kaun hai jis se mera dard-o-gham-e-hijr mita

darmiyan aaj koi aahani diwar nahin
koi parda nahin ab parda-e-zulmat se chaak

karwan-e-gham-e-dil aaj nahin ruk sakta
kahkashan ab mere qadmon ki tamannai hai

aur hum tod chuke arsh ke pindar ko bhi
aasman apni bulandi pe kare naz to kya

tirgi wusat-e-aflak se mit jaegi
zahmat-e-kaun-o-makan khinch raha hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close