magar hum ne dekha ki viran ghati ka daman bhara tha bahut sari chizen hawaon ke panw se uljhi hui thin duaon ki khali aur aundhi padi shishiyan aur tuti hui panjgana namazen nawafil-o-siyam ki sakht dhaalen masajid ke raston mein todi gai jutiyon aur qadm-dar-qadam nekiyon ki qataren wazaif-o-darud-o-munajat ke ek ribbon mein bandhe khudawand-e-alam ki rassi ke tukde aur aisi bahut sari chizen khuda ki khudai mein bikhri hui thin ki jaise yahan raat thahre hue karwan ko ab un ki zarurat na thi ki bakhshish ka khali kanastar bahut bhar gaya tha magar nek namon ki phenki hui bahut sari chizon ke is dher mein koi hamsae ka dard us par bahaya gaya garm aansu nahin tha koi bhuk ko katne wala dildar chaqu nahin tha sakhawat ka khamosh hath aur shaqawat pe uthta hua koi bazu nahin tha bahut sari chizen thin lekin kahin bhi taraazu nahin tha