wo chali gai wo chatakh chidiya chali gai mere aashiyan mein guzashta shab wo ruki magar dam-e-subh phir se wo ud gai use udte rahna pasand tha so chali gai badi shokh thi badi tez-rau bada chahchahati thi muskuraati thi us ke pankhon mein koi dam-e-visal tha mujhe us ka nam pata nahin wo kahan se aai nahin khabar wo yahin kahin pe chhupi hui to nahin yahin kisi aur aankh ko dam-e-husn mein bandh kar dil-e-mubtala ko asir-e-wasl kiye hue wo nahin gai wo yahin kahin to zarur hai