rahne do abhi bich mein diwar-e-ajnabiyyat ki ghanimat hai ghanimat hai ki jazbon ka sahra yun hi aabaad rahe kahin kisi taur koi nakhlistan aa na pae ghanimat hai ki guftugu pahron rahe magar nazar ki tishnagi ek hiras ban kar chhai rahe ghanimat hai ki hum bahut pas aa kar bhi ajnabi rahen sada na main jaanun na tum jaano na ban pae koi lamha lamha pashemani ka tanhai ye aur is ki rangin ghadiyan ghanimat hain diwar-e-ajnabiyyat aur us pe baithi hui afsurda mohabbat ghanimat hai