tu meri nazm hai khud mein marbut gum apni dhun mein rawan pech-dar-pech aazad aur be-niyaz aur mubham andaruni-o-bairuni aahang mein apne izhaar-e-sad-rang mein naghmagi ang mein teri aawaz aur rang mein ye uthan ye kaman ye kaman se nikalte hue tir sab bar-hadaf tez chust ramz mein aur izhaar-e-bebak mein bhi ishaare liye apne hi istiare liye jo kahani kahe kah ke bhi an-kahi an-suni hi rahe wasl-e-mani ke pahlu mein pahlu-e-tishna-labi hi rahe kuchh kami hi rahe tujh ko pa kar tujhe aur pane ki tajdid-e-iblagh ke kaif mein bar-bar satr-dar-satr padhta rahun zulfon peshani aankhon se aariz labon se tere panw ki aakhiri por tak mere lams se lauh-e-dil par teri raushnai pe ek harf aae nahin sar-basar to jami ki jami hi rahe sare asrar khulte rahen band darwazon par aur asrar ke aur bhi be-panah hon maani tere ek iqrar aur besh inkar ke main taaqub mein jin ke rahun umr-bhar tu meri nazm hai jaan-e-man