ab ke baras chaumukh mein ek azim firaq ki barf padi hai kohsaron ne kafuri qabren odhi hain kisi qadam ka naqsh koi dhansta hua panw koi phisalta khanda koi kilkari kuchh bhi nahin kuchh bhi to nahin sare mein ek marmar aisi behis yakh ki shok dahak rahi dharti ke sine upar marham aisi manfi das ki mari padi khamoshi ek shahid chinar ke pahlu se bahar ko nikla ek khush-khaslat nanha munna hat jo aate jate nauhe padhte jhonkon mein dur-daraaz ke hanste baste shahron ki aankhon ki jaanib jo kabhi us ko dekh nahin paengi ek wida-e-daim ke andaz mein larzan hai