rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage dil laga kar dur mujh se jaan jaan hone lage aankh un se jab mili to mil gaya dil ko qarar chand-taron mein kiya karta tha main un ka shumar dil ki dhadkan meri uljhan be-zaban hone lage rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage wo sunahra harf tha uljhi hui tahrir ka main musawwir tha kisi bikhri hui taswir ka dhire dhire pyar mein donon jawan hone lage rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage barf ka mausam tha phir bhi aag mein jalte the hum rah mein kante the phir bhi shauq se chalte the hum aaj hum ek bhuli-bisri dastan hone lage rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage