agar aap ek darakht hain to zahir hai sab se pahle aap ko banna chahiye ek saya-dar jagah aur agar aap ke patte kisi khizan mein gir jaen to aap ki koshish honi chahiye ki bahaar ka pahla phul ya barish ke baad khilne wali pahli konpal aap hi ke hisse mein aae agar aap ek darakht hon aur koi aap ko kat dale to afsos mat kijiyega ho sakta hai aap ka talluq darakhton ke us khandan se ho jis mein hazaron baras pahle kisi nabi ne panah li thi apne kat ke le jae jaane par afsos mat kijiyega ho sakta hai aap se ek aisi kursi banai jae jis par baith ke koi ladki apne mahbub ko hamesha yaad karti rahe ya phir aap se bane ek aisi mez jis ke samne koi udas shaer sitaron bhari nazmen likhta rahe ya ho sakta hai aap se ek aisi sidhi banai jae jise diwar ke sath laga ke hum aasman tak ja saken ya phir aap se koi aisa pul banaya jae jis par khadi ho ke log ek dusre se hamesha milne ke liye sikke phenka karen agar aap darakht ban jaen to kisi sarkari imarat ke ahate ya kasi chhote se raste ke darmiyan mat aaiyega warna hamein aap ko hatane ka bahut afsos hoga aur aap siwae rakh hone ke aur kuchh nahin kar sakenge