hazaron sal ki budhi hai duniya magar phir bhi nai lagti hai duniya wahi sagar wahi un ki rawani wahi parbat wahi un ki jawani wahi jangal wahi ashjar un ke wahi manzar wahi asrar un ke wahi baadal hazaron rup wale chamakte din sunahri dhup wale wahi din raat ke manzar suhane wahi panchhi wahi un ke tarane wahi gulshan wahi un ki bahaaren wahi masum paudon ki qataren wahi jharne wahi nadiyon ka pani wahi naghme wahi dilkash kahani wahi subhen wahi gulnar shamen wahi mahtab-o-anjum aur raaten wahi dharti wahi man jaisi dharti nazar aati hai jo firdaus-e-arzi zamin par nekiyan zinda rahengi to ye shayad zinda rahengi na hogi aadamiyat aadmi mein to kya aabaadiyan zinda rahengi