chup chup apne chup begane narsinghe khamosh apni rekha lekh ki hani ya karmon ka dosh aashaon ki phulwari mein phuti kadwi bel pale-pose bin lahrai alhad aur anel prem lata ki sundarta mein jag uthe arman apne parae sajan ban kar aae nazar insan kadwi bel mein baithe phal aane ki jab rut aai baje-gaje gunj uthe aur bajne lagi shahnai man mausi aur sang sakhiyon ne shugun shugun manae dominon ne rang rachaya chhelab sohle gae shubh din aaya aaj sakhi ri shubh din aaya aaj chaakar ban kar aae khade hain dekh sakhi tu raj mere liye ye dilkash sohle bin gae rona rag shahnai mein dub gaya jab us ka aap tyag jiwan pag par pahle dag mein dekh ke apni thod pallu tham kar chali bawri hath parae dor