agar main chikhun main apne dil ki tamam gahraiyon se chikhun to kaenati nizam mein kya khalal padega yahi ki andhe kuen se ek baz-gasht hogi kahegi kyun tum ko kya hua hai? tumhi bade aae ho kahin ke ye aasman o zamin ye suraj ye chand tare tamam man bap sare ajdad shahr ke sab sharif-zade inhen bhi dekho ye sab musibat-zada, matanat se burd-bari mein sah rahe hain tumhi mein bardasht ki kami hai agar main chikhun to meri aawaz bhi malamat karegi mujh ko wo sab kahenge ki kaun ye shor kar raha hai hamari ninden uchat kar din agar main chikhun to sara amn-o-sukun nazm aur nasq mujh ko khilaf-e-qanun dushman-e-khalq kah kar salib dega magar ye chikhon-bhara hua dil kisi bhi lamhe mujhe kahin khaufnak rahon pe dal dega salah dega ki zor se cikho ki jism ke sath ruh bhi sard ho gai phir to kya karoge