agar tum bechna chaho adaen bhi wafaen bhi hasin khwabon ke rangon ki ridaen bhi ye duniya hai yahan aawaz bikti hai yahan taswir bikti hai yahan par harf ki hurmat yahan tahrir bikti hai ye bazar-e-jahan ek be-karan gahra samundar hai yahan par kashtiyan sahil pe aa kar dub jati hain musafir mar bhi jate hain magar raunaq nahin jati ye insanon ka jangal hai aur is jangal ka saman har waqt rahta hai agar tum bechna chaho adaen bhi wafaen bhi hasin khwabon ke rangon ki ridaen bhi mere dil mein bhi ek bazar sajta hai jahan par sham hote hi hujum-e-yas hota hai ghamon ki bhid lagti hai kai yusuf sar-e-bazar bikte hain agar tum bechna chaho