khwab ab husn-e-tasawwur ke ufuq se hain pare dil ke ek jazba-e-masum ne dekhe the jo khwab aur tabiron ke tapte hue sahraon mein tishnagi aabla-pa shola-ba-kaf mauj-e-sarab ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jae ya palat aae koi saat-e-nayab-e-shabab phut nikle kisi afsurda tabassum se kiran ya damak utthe kisi dast-e-burida mein gulab aah patthar ki lakiren hain ki yaadon ke nuqush kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab bite lamhat ke soe hue tufanon mein tairte phirte hain phuti hui aankhon ke hubab tabish-e-rang-e-shafaq aatish-e-ru-e-khurshid mil ke chehre pe sahar aai hai khun-e-ahbab jaane kis mod pe kis rah mein kya biti hai kis se mumkin hai tamannaon ke zakhmon ka hisab aastinon ko pukarenge kahan tak aansu ab to daman ko pakadte hain lahu ke girdab dekhti phirti hai ek ek munh khamoshi jaane kya baat hai sharminda hai andaz-e-khitab dar-ba-dar thokaren khate hue phirte hain sawal aur mujrim ki tarah un se gurezan hai jawab sarkashi phir main tujhe aaj sada deta hun main tera shair-e-awara o be-bak-o-kharab phenk phir jazba-e-be-tab ki aalam pe kamand ek khwab aur bhi ai himmat-e-dushwar-pasand