wo zindagi ko daraate hain maut ko rishwat dete hain aur us ki aankh par patti bandh dete hain wo hamein tohfe mein khanjar bhejte hain aur ummid rakhte hain hum khud ko halak kar lenge wo chidiya-ghar mein sher ke pinjre ki jali ko kamzor rakhte hain aur jab hum wahan sair karne jate hain us din wo sher ka raatib band kar dete hain jab chand tuta phuta nahin hota wo hamein ek jazire ki sair ko bulate hain jahan na mare jaane ki zamanat ka kaghaz wo kashti mein idhar udhar kar dete hain agar unhen malum ho jae wo achchhe qatil nahin to wo kanpne lagen aur un ki naukariyan chhin jaen wo hamare mare jaane ka khwab dekhte hain aur tabir ki kitabon ko jala dete hain wo hamare nam ki qabr khodte hain aur us mein lut ka mal chhupa dete hain agar unhen malum bhi ho jae ki hamein kaise mara ja sakta hai phir bhi wo hamein nahin mar sakte