kisi chaukhat pe chaukidar lathi khatkhatata hai wo khidki khul gai ek railway engine thaki haari basen kaj-bahas kutte uljhanen mahrumiyan lo phir qatar andar qatar aain wo khidki khul gai phir maut dar-ati chali aai tumhaare sahn mein kele ke patte jaankani mein sar patakte hain suna phir billiyan us tin ki chhat par hirasan phir rahi hain subh ki pahli kiran ke jagne tak maut har muzi ruh ko be-ruh ko dasti ruh ko subh tak dasti chali jaegi lekin waqt ke is be-aman goshe mein tum zinda rahoge tum jo kal tak maut ki tarik raaton mein rahe us raat ek suraj ke malik ho kisi ne is darida aastin par aaj ek aansu sajaya hai