agar wo mausam-mizaj tum ko kahin mile to ye us se kahna ki laut aae use payam-e-bahaar de kar bas itna kahna khizan ka mausam guzar chuka hai use batana wo bad-nasibi ka ek kanta kabhi jo talwe mein chubh gaya tha nikal chuka hai ki waqt karwat badal chuka hai malul-o-bojhal udas shamen bhi ab tabassum se aashna hain wo muzmahil aur khamosh raaten bhi ab takallum se aashna hain use batana ki zindagi ek yaqin hai ab guman nahin hai ki aaj shamon ki raqs karti hui lawon mein sunahre khwabon ki raushni hai dhuan nahin hai kabhi sadaen bhi be-nawa thin aur ab khamoshi bhi ek sukhan hai qaba pe din ki hai koi dhabba na shab ka daman hi pur-shikan hai use batana ki zard mausam guzar gaya hai magar use tum ye mat batana ki jis mein hijrat likhi thi us ne wo ek lamha dil-o-nazar mein thahar gaya hai