azm

ba-waqt-e-asr azan gunjti hai sahra mein
namaz khud hi musalla bichhane aai hai

bada ajib tha manzar
ajib raat thi wo

hawaen sahmi hui thin charagh chup chup the
har ek samt wahi be-karan si khamoshi

faza udas
wahi nim-jaan si khamoshi

sukut-e-shab mein bhi aahat thi inqilabon ki
saji thi bazm wahan aasman-janabon ki

bahut si baaten thin aur koi baat thi hi nahin
phir us ke baad koi raat

raat thi hi nahin
wo raat jab bhi kabhi yaad aane lagti hai

to raushni hamein rasta dikhane lagti hai
us ek shab mein murattab hua nisab-e-wafa

likhi gai thi usi raat mein kitab-e-wafa
us ek raat ko tahrir koi kaise kare

khayal-o-fikr ko zanjir koi kaise kare
lahu ke khwab ki tabir koi kaise kare

safar tha kaisa wo kaisi masafat-e-shab thi
koi batae to

kaisi wo saat-e-shab thi
mutalibaat-e-shariat bahut ziyaada the

aur us ke pas faqat ek shab ki mohlat thi
us ek shab mein use kitne kaam karne the

use sikhana tha insan ko bandagi ka shuur
tilawaton ka qarina sukhanwari ka shuur

wo ek raat thi aisi
ki qadr-o-isra ne

nazar jo apni jamai to phir hatai nahin
wo regzar ke sine pe nasb ek khema

lahu se sabr ki tarikh likhne wala tha
bujha bujha sa khada tha wo pasban-e-charagh

magar darun mein is ke bahut ujala tha
wo jaanta tha wafadar hain sabhi nasir

wo sar kataenge lekin na sath chhodenge
charag-e-khema bujhane ka ye na tha maqsad

ki us ko yawar-e-ansar ko parakhna tha
wo raushni mein unhen lana chahta tha faqat

samajh raha tha wo qudrat ke har ishaare ko
sadaen deti rahi us ko daulat-e-duniya

kahan wo sabr kahan jabr-o-shaukat-e-duniya
magar wo ek sada

aasman se aati hui
bata rahi thi

ki kya aasman chahta hai
khuda-e-pak koi imtihan chahta hai

isi liye koi sahra ki samt badhta raha
lahu lahu kisi dariya ki samt badhta raha

wo raushni ki alamat
wo baniyan-e-charagh

samajh raha tha bujhega ye khandan-e-charagh
ajib log the wo khandan-e-nur ke log

the sab ke ek se lahje
kalam yaksan the

khilaf-e-zulm sabhi ke payam yaksan the
bahut hi ghaur se har chehra padh rahe the husain

ki aane wala har ek lamha padh rahe the husain
wo ek raat bhi dekho guzar hi jati hai

sawere marka hota hai haqq-o-baatil mein
ajib josh hai jazba hai jaan-nisaron mein

waqar-e-tishna-labi ko gale lagae hue
guzar raha hai qabila lahu ke dariya se

ba-waqt-e-asr azan gunjti hai sahra mein
namaz khud hi musalla bichhane aai hai

sar-e-husain ada kar raha hai sajda-e-shukr
gulu-e-khushk pe khanjar ki dhaar chalti hai

padha tha jis ne kabhi
kullu man alaiha fan

lahu se us ne likha
la-ilaha il-lallah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close