agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai! khirad bhi zer-e-dam hai junun bhi zer-e-dam hai hawas ka nam ishq hai talab khudi ka nam hai nazar udas dil malul ruh tishna-kaam hai magar labon pe naghma-e-hayat shad-kaam hai rahin-e-ariz-e-hasin asir-e-zulf-e-mushkbu! nigah mein liye hue ghuti ghuti si justuju bhatak rahe hain wadi-e-khizan mein bahr-e-rang-o-bu sahar ke git ga rahe hain aur waqt-e-sham hai nazar mein mah-o-kahkashan hain azmat-e-bashar nahin qadam badha rahe hain aur rah mo'tabar nahin fareb-khurda-e-chaman hain dam par nazar nahin khayal-e-nazm-e-mai-kada nahin hai fikr-e-jam hai mila wo ikhtiyar jis pe bebasi hai khanda-zan wo raushni mili ki jis pe tirgi hai khanda-zan wo zindagi mili ki jis pe maut bhi hai khanda-zan ba-zid hain phir bhi kaj-nazar hayat shad-kaam hai numaish-o-numud-o-nang-o-nam par nigah hai! jamal-e-yar-o-juebar-o-jam par nigah hai ba-nam-e-bandagi butan-e-baam par nigah hai shabab-o-sher-o-shahid-o-sharab se hi kaam hai agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai